29 Feb 2012

rab mileya raanjha na mileya...


ye dekho bazaar laga rakha hai.
kaisi dukaane saja rakhi hain?


udhaar me kahin mohabbat milti hai; 
kishton me imaan bikta hai. 
darzi jo mila kahin dil ka, batore tukde sil lie. 
umeed ki chaadar khareedi hai kisine shayad,
sapnon ka takiya bhi lia hai. 


dhoondha bahut hai magar, koi dukaan yahan mere kaam ki nahin...
..tu anmol hai, aur meri, meri to koi aukaat hi nahin. 

9 comments:

  1. jab bhare bazaar me bhi aukaat na dhund sake..dil ke tukde bhi jahan darzi sile..wahi to rab mile par ranjha na mil sake..

    ReplyDelete
    Replies
    1. ...kahin bazaar me dhoondhni pade wo aukaat hi kaisi?

      Delete
  2. हीरे को क्या मालूम, अपनी चमक से ही अनजान है |

    ReplyDelete
  3. "tu anmol hai, aur meri, meri to koi aukaat hi nahin."
    :) :)

    ReplyDelete
  4. Vagabound,

    Have you disallowed comments on next post? Read all pending posts. Liked HULLAR. Your posts are mostly thought provoking. Hope you are fine now.

    Take care

    ReplyDelete
    Replies
    1. am always fine :) yes did disallow comments there.
      will do, you too.

      Delete